Wednesday, November 09, 2011

Between the 'said' and the 'unsaid'
Lines inspired by Facebook and some Hindi movie songs:)

'Pal pal dil ke paas tum rehete ho...'
Par tum Facebook aur twitter se chipke rehete ho!

Status update: 'Zindagi ek safar hai suhana, yahan kal kya ho kisne jaana...'
Agar yeh maante ho to zaroor mera status 'like' karna

'Yeh dosti hum nahin todenge'
Dosti virtual ho to tootegi kaise?

'Tujhse naraz nahin zindagi hairan hun main...'
Itne profile pics badalne par bhi kisi ne nahin kiya 'like' mujhe:(

'Khuda jaane ke mein fida hoon , khuda jaane mein mitt gaya...'
Khuda jaane yeh mere mobile Facebook ko kya hua!

'Dost dost na raha pyaar pyaar na raha, zindagi hame tera aitbar na raha...'
Yeh tha mere friend ke mind me jab usne badla apna status from 'in a relationship' to 'single'
Aur is pe kiya ek aur friend ne comment:
"Dude..take it easy, remember the song, 'zor ka jhatka ...shaadi ban gayi umar qaid ke saza"

'Yaron dosti badi hi haseen hai...'
Kyun na ho? Jab sab kuch virtual ho: greeting, inviting, meeting, gifting etc.

'Baatein kuch ankahee si, kuch unsunee si hone lag...'
Jab se main itne puraane aur naye doston ke 'updates' me kone lagi

'Saari umr hum mar mar ke jee liye, ek pal to ab humein jeene do jeene do'
'Give me some sunshine give me some rain, give me another chance wanna grow up once again'
Haan once again, mujhe is virtual social network se real ki duniya main jaane do!

'In dino dil mera mujhse hai keh raha...'
Teri life beet jaayegi yun hi 'Like', 'Unlike', 'Comment' aur 'Share' karte karte
Na kisi ka phone, na kisi ke aane ki aahat
FB me hai mere 549 'friends'
Par sirf 2 hai asli dost - main aur meri tanhayee.

Take it easy friends!
'Na juda honge hum kabhi khushi kabhi gham...'
Hum tum aur FB:)



No comments: